Duniya mein hoon duniya ka talabgar nahi hoon
Bazaar se guzra hoon kharidar nahi hoon
Zinda hoon magar zeest ki lazzat nahi baaqi
Har-chand ke hoon hosh mein hoshiyaar nahi hoon
Is khana-e-hasti se guzar jaoonga belaus
Saaya hoon faqut naqsh ba-deewar nahi hoon
Woh gul hoon khizan ne jise barbad kiya hai
Uljoon kisi daman se main woh khar nahi hoon
Talabgar - Desirous
Zeest - Life
Lazzat - Pleasure
Har-chand - Always
Khana-e-hasti - Existence
Belaus - Without gains
Faqut - Just
Naqsh ba-deewar - Carving on the wall
Khizan - Autumn
Khar - Thorn
(Main source: http://www.curlio.com/spc_showarticle.php?id=1156)
Post a Comment